Tuesday 9 July 2013


       Suhana Mausam 


Jab baarish zameen bhiga de
aur mausam ko thanda chhod jaye
jab mitti ki khushbu dil mein bas jaye
aur un purane dino ki yaad dila de
jab kagaz ki kashtiyon se khelte the hum
aur garma garm chai pite the hum
jab apna chhata ghar chodte the hum
aur baarish mein baahe khole khelte the hum
Jab khilono se ghire rehte the hum
aur raat ko ma se kahaniyan sunte the hum
jab koi pareshaniyon ke bina
jeevan apna jeete the hum

ab kaam se ghir gaye hai hum
lekin fir woh baarish vapis ayi hai
apne kaam ko thodi der chodkar
bachpan ki galiyon mein fir se aaye hain
woh purani yaadein mann mein liye
nayi yaadon ko banane nikle hai hum
baarish mein bhigte hue bhi
kagaz aur kalam pakde nikle hai hum
·